|
You can send Poems of your choice too, if you have any Contact Now |
Poems of the Week |
|
Afsaane |
Khushbuu jaise log mile afsaane meN
ek puraana Khat kholaa anjaane meN
jaane kis kaa zikr hai is afsaane meN
dard maze letaa hai jo duhraane meN
shaam ke saaye baalishtoN se naape haiN
chaaNd ne kitnii der lagaa dii aane meN
raat guzarte shaayad thoRaa vaqt lage
zaraa sii dhuup uNdel mere paimaane meN
dil par dastak dene ye kaun aayaa hai
kis kii aahat suntaa huN viirane meN
Gulzar |
Ab ke yuN dil ko sazaa dii hamne |
Ab ke yuN dil ko sazaa dii hamne
us kii har baat bhulaa dii hamne
ek, ek phuul bahut yaad aaya
shaaKh-e-gul jab vo jalaa dii hamne
aaj tak jis pe vo shermaate haiN
baat vo kab kii bhulaa dii hamne
shahr-e-jahaaN raaKh se aabaad huaa
aag jab dil kii bujhaa dii hamne
aaj phir yaad bahut aaya vo
aaj phir us ko du\'aa dii hamne
koii to baat hai us mein Faiz
har Khushii jis pe luTaa dii hamne |
Udaasi |
| Udaasii ke chehre paRhaa mat karo
Ghazal aaNsuuoN se likhaa mat karo
bahar-haal ye aag hii aag haiN
chiraaGoN ko aise chhuaa mat karo
du\'aa aaNsuuoN meN khilaa phuul hai
kisii ke liye bad-du\'aa mat karo
tumheN log kehne lageN be-vafaa
zamaane se itnii vafaa mat karo
agar vaaqaii tum pariishaaN ho
kisii aur se tazkiraa mat karo
Khuda ke liye chaaNdni raat meN
akele akele phiraa mat karo
Bashir Badr
|
Farz Karo |
| Farz Karo
farz karo ham ahl-e-wafaa hoN, farz karo diivaane hoN
farz karo ye donoN baateN jhuuTii hoN afsaane hoN
farz karo ye jii kii biptaa jii se joR (?) sunaayii ho
farz karo abhii aur ho itnii aadhi ham ne chhupaayii ho
farz karo tumheN Khush karne ke dhuuNde ham ne bahaane hoN
farz karo ye nain tumhaare sach-much ke maiKhaane hoN
farz karo ye rog ho jhuuTaa jhuuTii peet hamaarii ho
farz karo is peet ke rog meN saaNs bhii ham pe bhaarii ho
farz karo ye jog-bijog kaa hamne Dhong rachaayaa ho
farz karo bas yahii haqiiqat baaqii sab kuch maayaa ho
Ibn-e-Insha |
Kaho to laut jatay hain - Farzana
|
Kaho to laut jatay hain
abhi to baat lamhon tak hai, saalon tak nahe aae
abhi muskaanon ki naubat bhi naalon tak nahe aae
abhi to koi majboori khayaalon tak nahe aae
abhi to gard pairon tak hai
baalon tak nahe aaee
kaho to laut jatay hain
chalo ik faisla karnay shajar (tree) ki auut jatay hain
abhi kaajal ki dauri (line),,surkh galoon tak nahe aae
zubaan daanton talak hai
zahar piyalon tak nahen aae
abhi to mushk-e-kastoori(a fragness name) gazaaalon (hair) tak nahe aee
abhi roodad-e-bay unwan hamaray darmian hai
duniya walon tak nahen aae
kaho to laut jatay hain
abhi nazdeek hain ghar aur manzil dooor hai apni
mabaada (ess say pahlay) naar (aag kee nazer) ho jaey yeh hasti noor hai apni
kaho to laut jatay hain
yeh rastaa piyaar ka rastaa
rasan ka daaar ka rasta
bahut dushwaar hai janaaan
keh iis rastay ka har zarra bhi ik kohsaaar hai jaanan
kaho to laut jatey hain ->
|
meray baaray na kuch socho
mujhay tai karna aata hai
yeh rastaa piyaar jka rastaa
yeh aasebon bhara rastaaa
yeh andhi ghaaar ka rastaa
kaho to laut jatay hain
tumhara narmo nazuk haath ho gar meray hathon mein
to main samjhoon ga jaisay do jahan hain meri muthi mein
tumhara qurb ho to mushkalain kaafooor ho jain
yeh andhay aur kaalay rastay puur nooor ho jain
TUMHARAY GAISUON KI CHAOUN MIL JAEY
TO SURAJ SE ULAJHNA BAAT HI KIA HAI...??
UTHAA LO APNA SAYA TO
MERI AUKAAAT HI KIA HAI...????
meray baray na kuch socho..
tum apni baaat batlaoo
Kaho to chaltay rehtay hain
Kaho to laut jatey hain
kaho to laut jatey hain |
Mohabbataen jab shumar karna |
Mohabbaten jab shumar kerna to saazishen bhee shumaar kerna
jo mere hissaymein aaye hain woh aziyyaten bhee shumar kerna
jalaaye rakhoon gi subh tak mein tumhare raste mein apni aankhen
magar kahin zabt toot jaaye to baarishen bhee shumaar kerna
|
Haal - Miss Wardah
|
Tere jesa mera bhi haal tha na sakon tha na qarar tha
yahi umer thi mere humnashin keh kisi ko mujhse bhi piyar tha
main samjh raha hon teri kasak tera mera dard hai mushtarik
isi gham ka to bhi aseer hai isi gham ka main bhi shikar tha
faqat aik dhun thi keh rath din isi khwabe zar main gum rahain
woh saroor aisa saroor tha woh khumar aisa khumar tha
kabhi lamha bher ki guftgo meri us ke sath na ho saki
mujhe furstain na mil sakin woh hawa ki ruth pe sawar tha
hum ajeeb taraz ke log hain hmare aur hi rog hain
main khizan main tha us ka muntzur use intzare bahar tha
ise parrh ke tum na samjh sake keh meri kitab keh roop main
koi qarz tha kai roz ka kai rat jago ka udhar tha
|
Sath Tera Mera - F.S UK |
Woh mujhe us waqt mila
Jab paharon pe baraf phail rahi thi
Cherry ke Drakht pe shagoofe phoot rahe the
Nokhaiz khushbu ne sara bagh roshan kia tha
Bulbul ne bas abhi cheh chahana shuru kia tha
Apne bazuon mayn liye woh mujhe
Phoolon bhari wadi mayn ghumata reha
Hum titliyan aur jugnu pakarte rahe
Barish aik pyari dost ki terah
Hamara hath bataati rahi thi
Jis din drakht se pehla peela patta gira
Main use uthane kalia jhuki
Palat ke dekha
To woh ja chuka tha
Ab toote huye patton mayn
Apne aansu jama kar rahi hoon
Mujhe jaan lena chahiye tha
Ke us ka aur mera sath
Mosam bahaar tak tha
|
Fursatain - Miss Wardah |
Tumhein jab kabhe mileen furstain mayray dil say bojh uttar do
mein bahut dinoon say uddas hoon mujhay koee sham udhar do
mujhay apnay roop kee dhoop do kay nikher sakein mayray khalokhad
mujhay apnay rung mein rung do mayra sara zang uttar do
mayree wehshatoon ko berha diya hai judaieoon kay azab nay
mayray dil per haath rakho zera mayree dherkanoon ko qerar do
wahan gher mein koun hai muntazir kay ho fiker dair sawair ke
berhee mukhtaser se yeh raat hai yehein chandnee mein guzzar do
koee baat kehnee hai chand say kisse shakhsar ke oout say
mujhay rastay mein yahein kahein kisse kunjay gul mein uttar do
tumhein subho kaise lage kaho mayray khawhishoon kay dayaar ke
jo bhalee lagee tu yahein raho issay chahtoon say nikhar do |